Sunday, September 16, 2007

dost aur dostii

Dostii ya dost ka matlab,

Aajkal sabne jaana hai kab,

Yeh toh sirf 1 shabd reh gaya hai ab,

Jiska anth ho jaata hai ab ya tab.

Lekin yeh man ab bhi nahi maanta,

Ki 1 dost ki sachhi dosti…koi...kyon..nahi..jaanta,

kyoki ache vichaaroon ko laana yehi toh hai thaanta.

Tumhe dekha toh laga 1 dost hamne hai paaya,

Kud ko humne bahut samjhaaya,

Par is dil aur man ko vishwaash nahi aaya,

Shaayad koi dar mere man mein ghir aaya,

Isiliye aisa khayaal mere man mein aaya.

Jab tumhaare saadgee aur sachhai maine jaanii,

Tab toh maine bhi sahii maayno mein dostii maaniii,

Aur 1 pyaare se dost ko nahi khone ki thaanee.

Tumhaaree seedhee saadhee baaton nein mujhe vishwaas dilaya,

Ki sahi dosti ka maayna 1 dost hi jaan paaya,

Tabhi mujhe 1 khayaal aaya,

Ki tumhaare saath chalte chalte mujhme bhi kuch badlaav aaya.

Lekin abhi toh dostii ki huee hai shuruwaat,

Na jaane is par ho kab aur kaise aaghaat,

Parantu 1 baat zaroor rakhna yaad,

Chahey mujhe bhool jaao,parantu kabhiue mat karma yeh dostieee bhulane kii baat.

Tumhaaree soni se hassi mein main bhi muskuraaya,

Tumhaaree har 1 ada mein maine 1 bhola sa dost paaya,

Lekin abhi bhi 1 dar mere man mein hai samaaya,

Ki hey bhagwaan yeh dost kahi sirf kuch palo ke liye toh nahi aaya.

Lekin der aaye durust aaye,

Dost aur uskee dostii ne khusiyo ke lamhe badaaye,

Ab toh yahi aasha hai ki yeh pal yahii ruk jaaye,

Taaki kum se kum dukh bhare lamhe toh yaad na aaye.

Merii taraf se toh yeh dostii rahegee hamesha jaaree,

Bhagwaan na kare ki kabhi bhi aaye dostii tootne ki baaree,

Kyoki who din hoga mujhper sabse bhaaree,

Aur uske baad kissi se bhi nahi ho paayegee merii dostii aur yaari.

No comments: